andhera hai kaise tera KHat paDhun
lifafe mein kuchh raushni bhej de
Mohammad Alvi
andheri raaton mein dekh lena
dikhai degi badan ki KHushbu
Mohammad Alvi
aankhen kholo KHwab sameTo jago bhi
'alwi' pyare dekho sala din nikla
Mohammad Alvi
aag apne hi laga sakte hain
ghair to sirf hawa dete hain
Mohammad Alvi
aaj phir mujh se kaha dariya ne
kya irada hai baha le jaun
Mohammad Alvi
aasman par ja pahunchun
allah tera nam likhun
Mohammad Alvi
ab kisi ki yaad bhi aati nahin
dil pe ab fikron ke pahre ho gae
Mohammad Alvi
ab na 'ghaalib' se shikayat hai na shikwa 'mir' ka
ban gaya main bhi nishana reKHta ke tir ka
Mohammad Alvi
ab to chup-chap sham aati hai
pahle chiDiyon ke shor hote the
Mohammad Alvi