aur bazar se kya le jaun
pahli barish ka maza le jaun
kuchh to saughat dun ghar walon ko
raat aankhon mein saja le jaun
ghar mein saman to ho dilchaspi ka
hadisa koi uTha le jaun
ek diya der se jalta hoga
sath thoDi si hawa le jaun
kyun bhaTakta hun ghalat rahon mein
KHwab mein us ka pata le jaun
roz kahta hai hawa ka jhonka
aa tujhe dur uDa le jaun
aaj phir mujh se kaha dariya ne
kya irada hai baha le jaun
ghar se jata hun to kaam aaenge
ek do ashk bacha le jaun
jeb mein kuchh to rahega 'alwi'
lao tum sab ki dua le jaun
Ghazal
Aur bazar se kya le jaun
Mohammad Alvi