ab tu darwaze se apne nam ki taKHti utar
lafz nange ho gae shohrat bhi gali ho gai
Iqbal Sajid
andar thi jitni aag wo ThanDi na ho saki
pani tha sirf ghas ke upar paDa hua
Iqbal Sajid
apni ana ki aaj bhi taskin hum ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin hum ne ki
Iqbal Sajid
aDh gaya hai is qadar ab surKH-ru hone ka shauq
log apne KHun se jismon ko tar karne lage
Iqbal Sajid
agula ban ke samundar mein KHak uDana thi
ki lahr lahr mujhe tund-KHu bhi hona tha
Iqbal Sajid
darwesh nazar aata tha har haal mein lekin
'sajid' ne libas itna bhi sada nahin pahna
Iqbal Sajid
ek bhi KHwahish ke hathon mein na mehndi lag saki
mere jazbon mein na dulha ban saka ab tak koi
Iqbal Sajid
fikr-e-mear-e-suKHan bais-e-azar hui
tang rakkha to hamein apni qaba ne rakkha
Iqbal Sajid
ghurbat ki tez aag pe aksar pakai bhuk
KHush-haaliyon ke shahr mein kya kuchh nahin kiya
Iqbal Sajid