اردو हिंदी
Ek tabiat thi so wo bhi la-ubaali ho gai | Shaahi Shayari
ek tabiat thi so wo bhi la-ubaali ho gai

Ghazal

Ek tabiat thi so wo bhi la-ubaali ho gai

Iqbal Sajid

;

ek tabiat thi so wo bhi la-ubaali ho gai
hae ye taswir bhi rangon se KHali ho gai

paDhte paDhte thak gae sab log tahriren meri
likhte likhte shahr ki diwar kali ho gai

bagh ka sab se baDa jo peD tha wo jhuk gaya
phal lage itne ki bojhal Dali Dali ho gai

ab tu darwaze se apne nam ki taKHti utar
lafz nange ho gae shohrat bhi gali ho gai

khinch Dala aankh ne sab aasmanon par hisar
ban chuke jab daere parkar KHali ho gai

subh ko dekha to 'sajid' dil ke andar kuchh na tha
yaad ki basti bhi raaton-raat KHali ho gai