اردو हिंदी
Aise ghar mein rah raha hun dekh le be-shak koi | Shaahi Shayari
aise ghar mein rah raha hun dekh le be-shak koi

Ghazal

Aise ghar mein rah raha hun dekh le be-shak koi

Iqbal Sajid

;

aise ghar mein rah raha hun dekh le be-shak koi
jis ke darwaze ki qismat mein nahin dastak koi

yun to hone ko sabhi kuchh hai mere dil mein magar
is dukan par aaj tak aaya nahin gahak koi

wo KHuda ki khoj mein KHud aaKHiri had tak gaya
KHud ko pane ki magar koshish na ki anthak koi

bagh mein kal raat phulon ki haweli luT gai
chashm-e-shabnam se chura kar le gaya ThanDak koi

de gaya aankhon ko farsh-e-rah banne ka sila
de gaya binai ko saughat mein dimak koi

ek bhi KHwahish ke hathon mein na mehndi lag saki
mere jazbon mein na dulha ban saka ab tak koi

wo bhi 'sajid' tha mere jazbon ki chori mein sharik
us ki jaanib kyun nahin uTThi nigah-e-shak koi