KHauf dil mein na tere dar ke gada ne rakkha
din ko kashkol bhara shab ko sirhane rakkha
fikr-e-mear-e-suKHan bais-e-azar hui
tang rakkha to hamein apni qaba ne rakkha
raat footpath pe din bhar ki thakan kaam aai
us ka bistar bhi kya sar pe bhi tane rakkha
KHauf aaya nahin sanpon ke ghane jangal mein
mujh ko mahfuz meri man ki dua ne rakkha
ye alag baat samundar pe wo barsi 'sajid'
aur kisi khet ko pyasa na ghaTa ne rakkha
Ghazal
KHauf dil mein na tere dar ke gada ne rakkha
Iqbal Sajid