ab bhi tauhin-e-itaat nahin hogi hum se
dil nahin hoga to baiat nahin hogi hum se
Iftikhar Arif
ajab tarah ka hai mausam ki KHak uDti hai
wo din bhi the ki khile the gulab aankhon mein
Iftikhar Arif
ajib hi tha mere daur-e-gumrahi ka rafiq
bichhaD gaya to kabhi lauT kar nahin aaya
Iftikhar Arif
azab ye bhi kisi aur par nahin aaya
ki ek umr chale aur ghar nahin aaya
Iftikhar Arif
azab-e-wahshat-e-jaan ka sila na mange koi
nae safar ke liye rasta na mange koi
Iftikhar Arif
ahut mushkil zamanon mein bhi hum ahl-e-mohabbat
wafa par ishq ki buniyaad rakhna chahte hain
Iftikhar Arif
as ek KHwab ki surat kahin hai ghar mera
makan ke hote hue la-makan ke hote hue
Iftikhar Arif
eTiyan bap ki aankhon mein chhupe KHwab ko pahchanti hain
aur koi dusra is KHwab ko paDh le to bura manti hain
Iftikhar Arif
uland hathon mein zanjir Dal dete hain
ajib rasm chali hai dua na mange koi
Iftikhar Arif