aabaadiyon mein kaise darinde ghus aae hain
maqtal gali gali hai har ek ghar lahu lahu
Anjum Irfani
aaya tha pichhli raat dabe panw mere ghar
pazeb ki ragon mein jhanak chhoD kar gaya
Anjum Irfani
ada hua na kabhi mujh se ek sajda-e-shukr
main kis zaban se karunga shikayaten teri
Anjum Irfani
aat kuchh hogi yaqinan jo ye hote hain nisar
hum bhi ek roz kisi shama pe jal kar dekhen
Anjum Irfani
charag chand shafaq sham phul jhil saba
churain sab ne hi kuchh kuchh shabahaten teri
Anjum Irfani
dard-e-dil banTta aaya hai zamane ko jo ab tak 'anjum'
kuchh hua yun ki wahi dard se do-chaar hua chahta hai
Anjum Irfani
hum fana-nasibon ko aur kuchh nahin aata
KHun sharab kar lena jism jam kar lena
Anjum Irfani
har chehra har rang mein aane lagta hai
pesh-e-nazar yaadon ke albam hote hain
Anjum Irfani
is ne dekha hai sar-e-bazm sitamgar ki tarah
phul phenka bhi meri samt to patthar ki tarah
Anjum Irfani