meri nazar mein aa gaya hai jab se ek sahifa-ruKH
kashish rahi na dil mein ab kisi kitab ke liye
Anjum Irfani
lauT kar yaqinan main ek roz aaunga
palkon pe charaghon ka ehtimam kar lena
Anjum Irfani
lamhe lamhe mein hua jata hun reza reza
wajh kuchh mujh se na puchho mere rab se puchho
Anjum Irfani
aabaadiyon mein kaise darinde ghus aae hain
maqtal gali gali hai har ek ghar lahu lahu
Anjum Irfani
kya ajab hai ki ye muTThi mein hamari aa jae
aasman ki taraf ek bar uchhal kar dekhen
Anjum Irfani
koi purana KHat kuchh bhuli-bisri yaad
zaKHmon par wo lamhe marham hote hain
Anjum Irfani
is ne dekha hai sar-e-bazm sitamgar ki tarah
phul phenka bhi meri samt to patthar ki tarah
Anjum Irfani
har chehra har rang mein aane lagta hai
pesh-e-nazar yaadon ke albam hote hain
Anjum Irfani
hum fana-nasibon ko aur kuchh nahin aata
KHun sharab kar lena jism jam kar lena
Anjum Irfani

