lahje ka ras hansi ki dhanak chhoD kar gaya
wo jate jate dil mein kasak chhoD kar gaya
mauj-e-hawa-e-gul sa wo guzra tha ek bar
phir bhi masham-e-jaan mein mahak chhoD kar gaya
aaya tha pichhli raat dabe panw mere ghar
pazeb ki ragon mein jhanak chhoD kar gaya
larza giraft-e-lams ki lazzat se bar bar
banhon mein shaKH-e-gul ki lachak chhoD kar gaya
aaya tha shahr-e-gul se bulawa mere liye
zindan mein beDiyon ki chhanak chhoD kar gaya
tha dekhna kuchh apna tilism-e-hunar use
bagh-e-bahisht o hur o malak chhoD kar gaya
aawara ku-ba-ku ye use DhunDhti phire
pa-e-hawa mein kaisi sanak chhoD kar gaya
hanste the zaKHm aur bhi kha kha ke zarb-e-sang
rahon mein phul dur talak chhoD kar gaya
hathon mein de ke khinch lin resham-kalaiyan
kamre mein chuDiyon ki khanak chhoD kar gaya
aankhen na us ki bar-e-nadamat se uTh sakin
zaKHmon pe mere aur namak chhoD kar gaya
palkon pe jugnuon ka basera hai waqt-e-sham
'anjum' main paniyon mein chamak chhoD kar gaya
Ghazal
Lahje ka ras hansi ki dhanak chhoD kar gaya
Anjum Irfani