aandhiyon ka kaam chalna hai gharaz is se nahin
peD par patta rahega ya juda ho jaega
Ali Ahmad Jalili
an rahe hain sath-e-dil par daere
tum ne to patthar koi phenka nahin
Ali Ahmad Jalili
dur tak dil mein dikhai nahin deta koi
aise virane mein ab kis ko sada di jae
Ali Ahmad Jalili
ek tahrir jo us ke hathon ki thi
baat wo mujh se karti rahi raat bha
Ali Ahmad Jalili
gham se mansub karun dard ka rishta de dun
zindagi aa tujhe jine ka saliqa de dun
Ali Ahmad Jalili
hum ne dekha hai zamane ka badalna lekin
un ke badle hue tewar nahin dekhe jate
Ali Ahmad Jalili
kaTi hai gham ki raat baDe ehtiram se
aksar bujha diya hai charaghon ko sham se
Ali Ahmad Jalili
kinaron se mujhe ai naKHudao dur hi rakkho
wahan le kar chalo tufan jahan se uThne wala hai
Ali Ahmad Jalili
kya isi waste sincha tha lahu se apne
jab sanwar jae chaman aag laga di jae
Ali Ahmad Jalili