gham se mansub karun dard ka rishta de dun
zindagi aa tujhe jine ka saliqa de dun
be-charagi ye teri sham-e-ghariban kab tak
chal tujhe jalte makanon ka ujala de dun
zindagi ab to yahi shakl hai samjhaute ki
dur haT jaun teri rah se rasta de dun
tishnagi tujh ko bujhana mujhe manzur nahin
warna qatre ki hai kya baat main dariya de dun
li hai angDai to phir hath uTha kar rakhiye
Thahariye main use lafzon ka labaada de dun
ai mere fan tujhe takmil ko pahunchana hai
aa tujhe KHun ka main aaKHiri qatra de dun
suraj aa jae kisi din jo mere hath 'ali'
ghonT dun raat ka dam sab ko ujala de dun
Ghazal
Gham se mansub karun dard ka rishta de dun
Ali Ahmad Jalili