aaj jalti hui har shama bujha di jae
gham ki tauqir zara aur baDha di jae
kya isi waste sincha tha lahu se apne
jab sanwar jae chaman aag laga di jae
aql ka hukm ki sahil se laga do kashti
dil ka israr ki tufan se laDa di jae
dur tak dil mein dikhai nahin deta koi
aise virane mein ab kis ko sada di jae
tabsira baad mein bhi qatl pe ho sakta hai
pahle ye lash to raste se haTa di jae
maslahat ab to isi mein nazar aati hai 'ali'
ki hansi aae to ashkon mein baha di jae
Ghazal
Aaj jalti hui har shama bujha di jae
Ali Ahmad Jalili