mustahiq wo lazzat-e-gham ka nahin
jis ne KHud apna lahu chakkha nahin
us shajar ke sae mein baiTha hun main
jis ki shaKHon par koi patta nahin
kaun deta hai dar-e-dil par sada
kah do main bhi ab yahan rahta nahin
ban rahe hain sath-e-dil par daere
tum ne to patthar koi phenka nahin
ungliyan kanTon se zaKHmi ho gain
hath phulon tak abhi pahuncha nahin
ek KHushbu sath jo pal bhar rahi
umr bhar pichha mera chhoDa nahin
wo maqam-e-fikr hai mera 'ali'
jis bulandi tak koi pahuncha nahin
Ghazal
Mustahiq wo lazzat-e-gham ka nahin
Ali Ahmad Jalili