اردو हिंदी
KaTi hai gham ki raat baDe ehtiram se | Shaahi Shayari
kaTi hai gham ki raat baDe ehtiram se

Ghazal

KaTi hai gham ki raat baDe ehtiram se

Ali Ahmad Jalili

;

kaTi hai gham ki raat baDe ehtiram se
aksar bujha diya hai charaghon ko sham se

raushan hai apni bazm aur is ehtimam se
kuchh dil bhi jal raha hai charaghon ke nam se

muddat hui hai KHun-e-tamanna kiye magar
ab tak Tapak raha hai lahu dil ke jam se

subh-e-bahaar hum ko bulati rahi magar
hum khelte rahe kisi zulfon ki sham se

har sans par hai maut ka pahra laga hua
aahista ai hayat guzar is maqam se

kaTi tamam umr fareb-e-bahaar mein
kanTe sameTte rahe phulon ke nam se

ye aur baat hai ki 'ali' hum na sun sake
aawaz us ne di hai hamein har maqam se