اردو हिंदी
Ek khiDki gali ki khuli raat bhar | Shaahi Shayari
ek khiDki gali ki khuli raat bhar

Ghazal

Ek khiDki gali ki khuli raat bhar

Ali Ahmad Jalili

;

ek khiDki gali ki khuli raat bhar
muntazir jaane kis ki rahi raat bhar

hum jalate rahe apne dil ke diye
tirgi qatl hoti rahi raat bhar

meri aankhon ko kar ke ata ratjage
meri tanhai soti rahi raat bhar

ek KHushbu daraazon se chhanti hui
dastaken jaise deti rahi raat bhar

dil ke andar koi jaise chalta raha
chap qadmon ki aati rahi raat bhar

ek tahrir jo us ke hathon ki thi
baat wo mujh se karti rahi raat bhar

ek surat 'ali' thi jo jaan-e-ghazal
mere sheron mein Dhalti rahi raat bhar