اردو हिंदी
Yaadash-ba-KHair jab wo tasawwur mein aa gaya | Shaahi Shayari
yaadash-ba-KHair jab wo tasawwur mein aa gaya

Ghazal

Yaadash-ba-KHair jab wo tasawwur mein aa gaya

Jigar Moradabadi

;

yaadash-ba-KHair jab wo tasawwur mein aa gaya
sher o shabab o husn ka dariya baha gaya

jab ishq apne markaz-e-asli pe aa gaya
KHud ban gaya hasin do aalam pe chha gaya

jo dil ka raaz tha use kuchh dil hi pa gaya
wo kar sake bayan na hamin se kaha gaya

naseh fasana apna hansi mein uDa gaya
KHush-fikr tha ki saf ye pahlu bacha gaya

apna zamana aap banate hain ahl-e-dil
hum wo nahin ki jin ko zamana bana gaya

dil ban gaya nigah nigah ban gai zaban
aaj ek sukut-e-shauq qayamat hi Dha gaya

mera kamal-e-sher bas itna hai ai 'jigar'
wo mujh pe chha gae main zamane pe chha gaya