اردو हिंदी
Rasta sochte rahne se kidhar banta hai | Shaahi Shayari
rasta sochte rahne se kidhar banta hai

Ghazal

Rasta sochte rahne se kidhar banta hai

Jaleel u0027Aaliu0027

;

rasta sochte rahne se kidhar banta hai
sar mein sauda ho to diwar mein dar banta hai

aag hi aag ho sine mein to kya phul jhaDen
shola hoti hai zaban lafz sharar banta hai

zindagi soch azabon mein guzari hai miyan
ek din mein kahan andaz-e-nazar banta hai

muddai taKHt ke aate hain chale jate hain
shahr ka taj koi KHak-basar banta hai

ishq ki rah ke meyar alag hote hain
ek juda zaicha-e-nafa-o-zarar banta hai

apna izhaar asir-e-rawish-e-am nahin
jaise kah den wahi meyar-e-hunar banta hai