jab safina mauj se Takra gaya
naKHuda ko bhi KHuda yaad aa gaya
Fana Nizami Kanpuri
kashti-e-e'tibar toD ke dekh
ki KHuda bhi hai na-KHuda hi nahin
Fani Badayuni
ya-rab teri rahmat se mayus nahin 'fani'
lekin teri rahmat ki taKHir ko kya kahiye
Fani Badayuni
ai KHuda meri ragon mein dauD ja
shaKH-e-dil par ek hari patti nikal
Farhat Ehsas
tamam paikar-e-badsurti hai mard ki zat
mujhe yaqin hai KHuda mard ho nahin sakta
Farhat Ehsas
tu KHuda hai to baja mujh ko Daraata kyun hai
ja mubarak ho tujhe tere karam ka saya
Farooq Nazki
fitrat mein aadmi ki hai mubham sa ek KHauf
us KHauf ka kisi ne KHuda nam rakh diya
Gopal Mittal