اردو हिंदी
Rangini-e-hawas ka wafa nam rakh diya | Shaahi Shayari
rangini-e-hawas ka wafa nam rakh diya

Ghazal

Rangini-e-hawas ka wafa nam rakh diya

Gopal Mittal

;

rangini-e-hawas ka wafa nam rakh diya
KHuddari-e-wafa ka jafa nam rakh diya

insan ki jo baat samajh mein na aa saki
insan ne us ka haq ki raza nam rakh diya

KHud-gharziyon ke sae mein pati hai parwarish
ulfat ko jis ka sidq o safa nam rakh diya

be-mehri-e-habib ka mushkil tha e'tiraf
yaron ne us ka naz o ada nam rakh diya

fitrat mein aadmi ki hai mubham sa ek KHauf
us KHauf ka kisi ne KHuda nam rakh diya

ye ruh kya hai jism ka aks-e-latif hai
ye aur baat hai ki juda nam rakh diya

muflis ko ahl-e-zar ne bhi kya kiya diye fareb
apni jafa ka hukm-e-KHuda nam rakh diya