nakaam hain asar se duaen dua se hum
majbur hain ki laD nahin sakte KHuda se hum
Ahsan Marahravi
ab to hai ishq-e-butan mein zindagani ka maza
jab KHuda ka samna hoga to dekha jaega
Akbar Allahabadi
aql mein jo ghir gaya la-intiha kyunkar hua
jo sama mein aa gaya phir wo KHuda kyunkar hua
Akbar Allahabadi
as jaan gaya main teri pahchan yahi hai
tu dil mein to aata hai samajh mein nahin aata
Akbar Allahabadi
KHuda se mang jo kuchh mangna hai ai 'akbar'
yahi wo dar hai ki zillat nahin sawal ke baad
Akbar Allahabadi
koi surat bhi nahin milti kisi surat mein
kuza-gar kaisa karishma tere is chaak mein hai
Alam Khursheed
jo chahiye so mangiye allah se 'amir'
us dar pe aabru nahin jati sawal se
Ameer Minai