tu mere sajdon ki laj rakh le shuur-e-sajda nahin hai mujh ko
ye sar tere aastan se pahle kisi ke aage jhuka nahin hai
Rafiq Raaz
mai-KHane mein kyun yaad-e-KHuda hoti hai aksar
masjid mein to zikr-e-mai-o-mina nahin hota
Riyaz Khairabadi
mera akela KHuda yaad aa raha hai mujhe
ye sochta hua girja bula raha hai mujhe
Saqi Faruqi
wo KHuda hai to meri ruh mein iqrar kare
kyun pareshan kare dur ka basne wala
Saqi Faruqi
jawaz koi agar meri bandagi ka nahin
main puchhta hun tujhe kya mila KHuda ho ka
Shahzad Ahmad
ahl-e-maani juz na bujhega koi is ramz ko
hum ne paya hai KHuda ko surat-e-insan ke bich
Shaikh Zahuruddin Hatim
gulshan-e-dahr mein sau rang hain 'hatim' us ke
wo kahin gul hai kahin bu hai kahin buTa hai
Shaikh Zahuruddin Hatim