jholiyan sab ki bharti jati hain
dene wala nazar nahin aata
Amjad hyderabadi
sar-e-mahshar yahi puchhunga KHuda se pahle
tu ne roka bhi tha bande ko KHata se pahle
Anand Narayan Mulla
aap karte jo ehtiram-e-butan
but-kade KHud KHuda KHuda karte
Anwar Sabri
hum ki mayus nahin hain unhen pa hi lenge
log kahte hain ki DhunDe se KHuda milta hai
Arsh Siddiqui
dahr mein ek tere siwa kya hai
tu nahin hai to phir bhala kya hai
Aziz Tamannai
zahida kabe ko jata hai to kar yaad-e-KHuda
phir jahazon mein KHayal-e-na-KHuda karta hai kyun
Bahram ji
KHuda aise ehsas ka nam hai
rahe samne aur dikhai na de
Bashir Badr