اردو हिंदी
Jab bhi nazm-e-mai-kada badla gaya | Shaahi Shayari
jab bhi nazm-e-mai-kada badla gaya

Ghazal

Jab bhi nazm-e-mai-kada badla gaya

Fana Nizami Kanpuri

;

jab bhi nazm-e-mai-kada badla gaya
ek na ek jam-e-hasin toDa gaya

jab safina mauj se Takra gaya
naKHuda ko bhi KHuda yaad aa gaya

main ne chheDa qissa-e-jaur-e-falak
jaane kyun un ko pasina aa gaya

dekh kar un ki jafaon ka KHulus
main wafa ke nam par sharma gaya

aap ab aae aansu ponchhne
jab mere daman pe dhabba aa gaya