اردو हिंदी
Mere lab par koi dua hi nahin | Shaahi Shayari
mere lab par koi dua hi nahin

Ghazal

Mere lab par koi dua hi nahin

Fani Badayuni

;

mere lab par koi dua hi nahin
is karam ki kuchh intiha hi nahin

kashti-e-e'tibar toD ke dekh
ki KHuda bhi hai na-KHuda hi nahin

meri hasti gawah hai ki mujhe
tu kisi waqt bhulta hi nahin

ab use na-ummid kyun kahiye
dil ko taufiq-e-muddaa hi nahin

gham mein lazzat kahan ki dil na raha
hae wo hasrat-ashna hi nahin

wahi tu hai wahi teri mahfil
ek 'fani'-e-mubtala hi nahin