sab log apne apne KHudaon ko lae the
ek hum hi aise the ki hamara KHuda na tha
Bashir Badr
kashtiyan sab ki kinare pe pahunch jati hain
naKHuda jin ka nahin un ka KHuda hota hai
Bedam Shah Warsi
aata hai jo tufan aane de kashti ka KHuda KHud hafiz hai
mumkin hai ki uThti lahron mein bahta hua sahil aa jae
this vessel is by God sustained let the mighty storms appear,
Behzad Lakhnavi
aashiqi se milega ai zahid
bandagi se KHuda nahin milta
in romance, does God abound
O priest in piety not found
Dagh Dehlvi
'dagh' ko kaun dene wala tha
jo diya ai KHuda diya tu ne
Dagh Dehlvi
dair o kaba mein bhaTakte phir rahe hain raat din
DhunDhne se bhi to bandon ko KHuda milta nahin
Dattatriya Kaifi
usi ne chand ke pahlu mein ek charagh rakha
usi ne dasht ke zarron ko aaftab kiya
Faheem Shanas Kazmi