اردو हिंदी
Khamoshi Shayari | Shaahi Shayari

Khamoshi

55 Shers

ye hasil hai meri KHamoshiyon ka
ki patthar aazmane lag gae hain

Madan Mohan Danish




har ek baat zaban se kahi nahin jati
jo chupke baiThe hain kuchh un ki baat bhi samjho

Mahshar Inayati




KHamushi teri meri jaan liye leti hai
apni taswir se bahar tujhe aana hoga

Mohammad Ali Sahil




meri arz-e-shauq be-mani hai un ke waste
un ki KHamoshi bhi ek paigham hai mere liye

Moin Ahsan Jazbi




chup chup kyun rahte ho 'nasir'
ye kya rog laga rakkha hai

Nasir Kazmi




main hun raat ka ek baja hai
KHali rasta bol raha hai

Nasir Kazmi




ang darkar the hum ko teri KHamoshi ke
ek aawaz ki taswir banani thi hamein

Nazir Wahid