meri KHamoshiyon mein larzan hai
mere nalon ki gum-shuda aawaz
Faiz Ahmad Faiz
saut kya shai hai KHamushi kya hai
gham kise kahte hain KHushi kya hai
Farhat Shahzad
ahut gahri hai us ki KHamushi bhi
main apne qad ko chhoTa pa rahi hun
Fatima Hasan
sunti rahi main sab ke dukh KHamoshi se
kis ka dukh tha mere jaisa bhul gai
Fatima Hasan
asar bhi le raha hun teri chup ka
tujhe qail bhi karta ja raha hun
Firaq Gorakhpuri
ilm ki ibtida hai hangama
ilm ki intiha hai KHamoshi
Firdaus Gayavi
kuchh kahne ka waqt nahin ye kuchh na kaho KHamosh raho
ai logo KHamosh raho han ai logo KHamosh raho
Ibn e Insha