chup raho to puchhta hai KHair hai
lo KHamoshi bhi shikayat ho gai
Akhtar Ansari Akbarabadi
use bechain kar jaunga main bhi
KHamoshi se guzar jaunga main bhi
Ameer Qazalbash
ek din meri KHamushi ne mujhe
lafz ki oT se ishaara kiya
Anjum Saleemi
khuli zaban to zarf un ka ho gaya zahir
hazar bhed chhupa rakkhe the KHamoshi mein
Anwar Sadeed
mohabbat soz bhi hai saz bhi hai
KHamoshi bhi hai ye aawaz bhi hai
Arsh Malsiyani
KHamoshi meri mani-KHez thi ai aarzu kitni
ki jis ne jaisa chaha waisa afsana bana Dala
Arzoo Lakhnavi
ajib shor machane lage hain sannaTe
ye kis tarah ki KHamoshi har ek sada mein hai
Asim Wasti