اردو हिंदी
Tere kanon mein koi baat batani thi hamein | Shaahi Shayari
tere kanon mein koi baat batani thi hamein

Ghazal

Tere kanon mein koi baat batani thi hamein

Nazir Wahid

;

tere kanon mein koi baat batani thi hamein
dil mein sakhiyon ke teri aag lagani thi hamein

hamein bazar ne Thukraya to ghar lauTe hain
ek mohabbat to bahr-e-haal nibhani thi hamein

chandni aap ki aankhon mein bhali lagti hai
ho ijazat to zara umr bitani thi hamein

rang darkar the hum ko teri KHamoshi ke
ek aawaz ki taswir banani thi hamein

hamein cigarette bhi to pini thi nikal kar ghar se
apni ungli pe ye duniya bhi nachani thi hamein

tazkira is ka nahin ishq bachaya kis ne
masala ye tha ki ab jaan bachani thi hamein

aaj hum us ke dupaTTe ki mahak se hain bandhe
wahi laDki jo kabhi dushman-e-jaani thi hamein