اردو हिंदी
Khamoshi Shayari | Shaahi Shayari

Khamoshi

55 Shers

jise sayyaad ne kuchh gul ne kuchh bulbul ne kuchh samjha
chaman mein kitni mani-KHez thi ek KHamushi meri

Jigar Moradabadi




KHamoshi mein har baat ban jae hai
jo bole hai diwana kahlae hai

Kaleem Aajiz




hum na manenge KHamoshi hai tamanna ka mizaj
han bhari bazm mein wo bol na pai hogi

Kalidas Gupta Raza




shor jitna hai kaenat mein shor
mere andar ki KHamushi se hua

Kashif Husain Ghair




nikale gae is ke mani hazar
ajab chiz thi ek meri KHamushi

Khalilur Rahman Azmi




aat meri aankhon mein kuchh ajib chehre the
aur kuchh sadaen thin KHamushi ke paikar mein

Khushbir Singh Shaad




KHamoshi dil ko hai furqat mein din raat
ghaDi rahti hai ye aaThon pahar band

Lala Madhav Ram Jauhar