hum labon se kah na pae un se haal-e-dil kabhi
aur wo samjhe nahin ye KHamushi kya chiz hai
Nida Fazli
chaTaKH ke TuT gai hai to ban gai aawaz
jo mere sine mein ek roz KHamushi hui thi
Salim Saleem
KHamushi chheD rahi hai koi nauha apna
TuTta jata hai aawaz se rishta apna
Saqi Faruqi
meri KHamoshiyon par duniya mujh ko tan deti hai
ye kya jaane ki chup rah kar bhi ki jati hain taqriren
Seemab Akbarabadi
KHamoshi se musibat aur bhi sangin hoti hai
taDap ai dil taDapne se zara taskin hoti hai
silence only intensifies one's grief
cry out heart and you will find relief
Shad Azimabadi
'wahshat' us but ne taghaful jab kiya apna shiar
kaam KHamoshi se main ne bhi liya fariyaad ka
Wahshat Raza Ali Kalkatvi