اردو हिंदी
Aah bhi ek koshish-e-nakaam hai mere liye | Shaahi Shayari
aah bhi ek koshish-e-nakaam hai mere liye

Ghazal

Aah bhi ek koshish-e-nakaam hai mere liye

Moin Ahsan Jazbi

;

aah bhi ek koshish-e-nakaam hai mere liye
aisi sahba-e-kuhan aur KHam hai mere liye

zindagi ek shorish-e-alam hai mere liye
jo nafas hai gardish-e-ayyam hai mere liye

shaeri hi wajh-e-nang-o-nam hai mere liye
aur jo kuchh hai wo sab ilzam hai mere liye

meri arz-e-shauq be-mani hai un ke waste
un ki KHamoshi bhi ek paigham hai mere liye

ye meri aashufta-e-haali ye meri aawargi
jaise sari gardish-e-ayyam hai mere liye

kis qadar masum kaisi garm kitni dil-nawaz
wo nigah-e-naz jo bad-nam hai mere liye

aaj kya hone ko hai ai gardish-e-haft-asman
har sitara larza-bar-andam hai mere liye