aao husn-e-yar ki baaten karen
zulf ki ruKHsar ki baaten karen
Chiragh Hasan Hasrat
uKH-e-raushan ke aage shama rakh kar wo ye kahte hain
udhar jata hai dekhen ya idhar parwana aata hai
Dagh Dehlvi
shoKHi se Thaharti nahin qatil ki nazar aaj
ye barq-e-bala dekhiye girti hai kidhar aaj
Dagh Dehlvi
husn ko duniya ki aankhon se na dekh
apni ek tarz-e-nazar ijad ka
Ehsan Danish
shorish-e-ishq mein hai husn barabar ka sharik
soch kar jurm-e-tamanna ki saza do hum ko
Ehsan Danish
aDa wasia hai us ke jamal ka manzar
wo aaine mein to bas muKHtasar sa rahta hai
Farhat Ehsas
wo chand kah ke gaya tha ki aaj niklega
to intizar mein baiTha hua hun sham se main
Farhat Ehsas