husn ek dilruba hukumat hai
ishq ek qudrati ghulami hai
Abdul Hamid Adam
ishq hai be-gudaz kyun husn hai be-niyaz kyun
meri wafa kahan gai un ki jafa ko kya hua
Abdul Majeed Salik
kaun sani shahr mein is mere mah-pare ki hai
chand si surat dupaTTa sar pe yak-tare ka hai
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
phulon ki sej par zara aaram kya kiya
us gul-badan pe naqsh uTh aae gulab ke
Adil Mansuri
ye khula jism khule baal ye halke malbus
tum nai subh ka aaghaz karoge shayad
Afroz Alam
suna hai us ke badan ki tarash aisi hai
ki phul apni qabaen katar ke dekhte hain
Ahmad Faraz
tere hote hue mahfil mein jalate hain charagh
log kya sada hain suraj ko dikhate hain charagh
Ahmad Faraz