اردو हिंदी
Ishq ko taqlid se aazad kar | Shaahi Shayari
ishq ko taqlid se aazad kar

Ghazal

Ishq ko taqlid se aazad kar

Ehsan Danish

;

ishq ko taqlid se aazad kar
dil se girya aankh se fariyaad kar

baz aa ai banda-e-husn-e-majaz
yun na apni zindagi barbaad kar

ai KHayalon ke makin nazron se dur
meri viran KHalwaten aabaad kar

naza mein hichki nahin aai mujhe
bhulne wale KHuda-ra yaad kar

husn ko duniya ki aankhon se na dekh
apni ek tarz-e-nazar ijad kar

ishrat-e-duniya hai ek KHwab-e-bahaar
kaba-e-dil dard se aabaad kar

ab kahan 'ehsan' duniya mein wafa
tauba kar nadan KHuda ko yaad kar