ishq bhi ho hijab mein husn bhi ho hijab mein
ya to KHud aashkar ho ya mujhe aashkar ka
Allama Iqbal
ji chahta hai sane-e-qudrat pe hun nisar
but ko biTha ke samne yaad-e-KHuda karun
Amanat Lakhnavi
kaun si ja hai jahan jalwa-e-mashuq nahin
shauq-e-didar agar hai to nazar paida kar
where in this world does ones beloved's beauty not reside
if the zeal for sight you have, the vision too provide
Ameer Minai
jis taraf tu hai udhar hongi sabhi ki nazren
id ke chand ka didar bahana hi sahi
Amjad Islam Amjad
charag chand shafaq sham phul jhil saba
churain sab ne hi kuchh kuchh shabahaten teri
Anjum Irfani
husn har haal mein hai husn paraganda naqab
koi parda hai na chilman ye koi kya jaane
Arsh Malsiyani
allah allah husn ki ye parda-dari dekhiye
bhed jis ne kholna chaha wo diwana hua
Arzoo Lakhnavi