اردو हिंदी
Wo meri jaan ke sadaf mein guhar sa rahta hai | Shaahi Shayari
wo meri jaan ke sadaf mein guhar sa rahta hai

Ghazal

Wo meri jaan ke sadaf mein guhar sa rahta hai

Farhat Ehsas

;

wo meri jaan ke sadaf mein guhar sa rahta hai
mein us ko toD na Dalun ye Dar sa rahta hai

wo chehra ek shifa-KHana hai meri KHatir
wo ho to jaise koi chaaragar sa rahta hai

main us nigah ke hamrah jab se aaya hun
mujhe na jaane kahan ka safar sa rahta hai

baDa wasia hai us ke jamal ka manzar
wo aaine mein to bas muKHtasar sa rahta hai

meri zamin ko mayassar hai aasman us ka
kahin bhi jaun mere sath ghar sa rahta hai