ajab teri hai ai mahbub surat
nazar se gir gae sab KHubsurat
Haidar Ali Aatish
na pak hoga kabhi husn o ishq ka jhagDa
wo qissa hai ye ki jis ka koi gawah nahin
Haidar Ali Aatish
husn hai kafir banane ke liye
ishq hai iman lane ke liye
Hairat Gondvi
aap kya aae ki ruKHsat sab andhere ho gae
is qadar ghar mein kabhi bhi raushni dekhi na thi
Hakeem Nasir
kis ke chehre se uTh gaya parda
jhilmilae charagh mahfil ke
Hasan Barelvi
allah-ri jism-e-yar ki KHubi ki KHud-ba-KHud
ranginiyon mein Dub gaya pairahan tamam
Hasrat Mohani
aushan jamal-e-yar se hai anjuman tamam
dahka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam
Hasrat Mohani