dekhun tere hathon ko to lagta hai tere hath
mandir mein faqat dip jalane ke liye hain
Jaan Nisar Akhtar
ab to tere husn ki har anjuman mein dhum hai
jis ne mera haal dekha tera diwana hua
Jameel Yusuf
urqa-posh paThani jis ki laj mein sau sau rup
khul ke na dekhi phir bhi dekhi hum ne chhanw mein dhup
Jameeluddin Aali
oz ek mahfil aur har mahfil nariyon se bharpur
pas bhi hon to jaan ke baiThen 'ali' sab se du
Jameeluddin Aali
husn ke har jamal mein pinhan
meri ranai-e-KHayal bhi hai
Jigar Moradabadi
husn ko bhi kahan nasib 'jigar'
wo jo ek shai meri nigah mein hai
Jigar Moradabadi
itne hijabon par to ye aalam hai husn ka
kya haal ho jo dekh len parda uTha ke hum
Jigar Moradabadi