husn sab ko KHuda nahin deta
har kisi ki nazar nahin hoti
Ibn e Insha
husn bana jab bahti ganga
ishq hua kaghaz ki naw
Ibn-e-Safi
husn yun ishq se naraaz hai ab
phul KHushbu se KHafa ho jaise
Iftikhar Aazmi
us ke chehre ki chamak ke samne sada laga
aasman pe chand pura tha magar aadha laga
Iftikhar Naseem
afsurdagi bhi husn hai tabindagi bhi husn
hum ko KHizan ne tum ko sanwara bahaar ne
Ijtiba Rizvi
teri surat se kisi ki nahin milti surat
hum jahan mein teri taswir liye phirte hain
Imam Bakhsh Nasikh
tamam mazhar-e-fitrat tere ghazal-KHwan hain
ye chandni bhi tere jism ka qasida hai
Izhar Asar