husn o ishq ki lag mein aksar chheD udhar se hoti hai
shama ki shoala jab lahrai uD ke chala parwana bhi
Arzoo Lakhnavi
tumhaara husn aaraish tumhaari sadgi zewar
tumhein koi zarurat hi nahin banne sanwarne ki
Asar Lakhnavi
ye husn-e-dil-fareb ye aalam shabab ka
goya chhalak raha hai piyala sharab ka
Asar Sahbai
phul mahkenge yunhi chand yunhi chamkega
tere hote hue manzar ko hasin rahna hai
Ashfaq Husain
husn ko sharmsar karna hi
ishq ka intiqam hota hai
Asrar-ul-Haq Majaz
ishq ka zauq-e-nazara muft mein badnam hai
husn KHud be-tab hai jalwa dikhane ke liye
love is needlessly defamed that for vision it is keen
beauty is impatient too for its splendour to be seen
Asrar-ul-Haq Majaz
husn aur ishq hain donon kafir
donon mein ek jhagDa sa hai
Azeem Qureshi