jo ghazal aaj tere hijr mein likkhi hai wo kal
kya KHabar ahl-e-mohabbat ka tarana ban jae
Ahmad Faraz
kitna aasan tha tere hijr mein marna jaanan
phir bhi ek umr lagi jaan se jate jate
Ahmad Faraz
hijr ek waqfa-e-bedar hai do nindon mein
wasl ek KHwab hai jis ki koi tabir nahin
Ahmad Mushtaq
milne ki ye kaun ghaDi thi
bahar hijr ki raat khaDi thi
Ahmad Mushtaq
yahi duniya thi magar aaj bhi yun lagta hai
jaise kaTi hon tere hijr ki raaten kahin au
Ahmad Mushtaq
KHuda kare ki teri umr mein gine jaen
wo din jo hum ne tere hijr mein guzare the
Ahmad Nadeem Qasmi
mar jata hun jab ye sochta hun
main tere baghair ji raha hun
Ahmad Nadeem Qasmi