hijr ki raat kaTne wale
kya karega agar sahar na hui
Aziz Lakhnavi
KHud chale aao ya bula bhejo
raat akele basar nahin hoti
Aziz Lakhnavi
main tere hijr mein jine se ho gaya tha udas
pe garm-joshi se kya kya manaya ashk mera
Baqar Agah Vellori
tujh hijr ki agan kun bujhane ai sang dil
koi aab-zan-rafiq ba-juz chashm-e-tar nahin
Daud Aurangabadi
kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the wo aaenge sunte the sahar hogi
Faiz Ahmad Faiz
wo aa rahe hain wo aate hain aa rahe honge
shab-e-firaq ye kah kar guzar di hum ne
Faiz Ahmad Faiz
hijr mein muskurae ja dil mein use talash kar
naz-e-sitam uThae ja raaz-e-sitam na fash ka
Fani Badayuni