اردو हिंदी
Jab har ek shahr balaon ka Thikana ban jae | Shaahi Shayari
jab har ek shahr balaon ka Thikana ban jae

Ghazal

Jab har ek shahr balaon ka Thikana ban jae

Ahmad Faraz

;

jab har ek shahr balaon ka Thikana ban jae
kya KHabar kaun kahan kis ka nishana ban jae

ishq KHud apne raqibon ko baham karta hai
hum jise pyar karen jaan-e-zamana ban jae

itni shiddat se na mil tu ki judai chahen
yahi qurbat teri duri ka bahana ban jae

jo ghazal aaj tere hijr mein likkhi hai wo kal
kya KHabar ahl-e-mohabbat ka tarana ban jae

karta rahta hun faraham main zar-e-zaKHm ki yun
shayad aainda zamanon ka KHazana ban jae

is se baDh kar koi inam-e-hunar kya hai 'faraaz'
apne hi ahd mein ek shaKHs fasana ban jae