dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
is baat se hum ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho
Ibn e Insha
tum se bichhaD kar zinda hain
jaan bahut sharminda hain
Iftikhar Arif
us sang-dil ke hijr mein chashmon ko apne aah
manind-e-abshaar kiya hum ne kya kiya
Insha Allah Khan u0027Inshau0027
adan mein jaise lahu taziyana ho gaya hai
use gale se lagae zamana ho gaya hai
Irfan Siddiqi
toDa hai dam abhi abhi bimar-e-hijr ne
aae magar huzur ko taKHir ho gai
Jagat Mohan Lal Ravan
tera wasl hai mujhe be-KHudi tera hijr hai mujhe aagahi
tera wasl mujh ko firaq hai tera hijr mujh ko visal hai
Jalaluddin Akbar
hum kahan aur tum kahan jaanan
hain kai hijr darmiyan jaanan
Jaun Eliya