hijr mein milne shab-e-mah ke gham aae hain
chaarasazon ko bhi bulwao ki kuchh raat kaTe
Makhdoom Mohiuddin
wasl ka gul na sahi hijr ka kanTa hi sahi
kuchh na kuchh to meri wahshat ka sila de mujh ko
Marghoob Ali
dekh kar tul-e-shab-e-hijr dua karta hun
wasl ke roz se bhi umr meri kam ho jae
Mirza Raza Barq
us se milne ki KHushi baad mein dukh deti hai
jashn ke baad ka sannaTa bahut khalta hai
Moin Shadab
'munir' achchha nahin lagta ye tera
kisi ke hijr mein bimar hona
Muneer Niyazi
nind aati nahin to subah talak
gard-e-mahtab ka safar dekho
Nasir Kazmi
tere aane ka dhoka sa raha hai
diya sa raat bhar jalta raha hai
Nasir Kazmi