tujh bin sari umr guzari
log kahenge tu mera tha
Nasir Kazmi
jo baat hijr ki aati to apne daman se
wo aansu ponchhta jata tha aur main rota tha
Nazeer Akbarabadi
tumhaare hijr mein aankhen hamari muddat se
nahin ye jaantin duniya mein KHwab hai kya chiz
Nazeer Akbarabadi
mumkina faislon mein ek hijr ka faisla bhi tha
hum ne to ek baat ki us ne kamal kar diya
Parveen Shakir
a-pas-e-dil jise apne labon se bhi chhupaya tha
mera wo raaz tere hijr ne pahuncha diya sab tak
Qateel Shifai
hijr ki shab nala-e-dil wo sada dene lage
sunne wale raat kaTne ki dua dene lage
Saqib Lakhnavi
jagta hun main ek akela duniya soti hai
kitni wahshat hijr ki lambi raat mein hoti hai
Shahryar