shikwa-e-hijr pe sar kaT ke farmate hain
phir karoge kabhi is munh se shikayat meri
Fani Badayuni
do alag lafz nahin hijr o visal
ek mein ek ki goyai hai
Farhat Ehsas
hijr o visal charagh hain donon tanhai ke taqon mein
akasr donon gul rahte hain aur jala karta hun main
Farhat Ehsas
use KHabar thi ki hum visal aur hijr ek sath chahte hain
to us ne aadha ujaD rakkha hai aur aadha bana diya hai
Farhat Ehsas
ahut dinon mein mohabbat ko ye hua malum
jo tere hijr mein guzri wo raat raat hui
Firaq Gorakhpuri
ek umr kaT gai hai tere intizar mein
aise bhi hain ki kaT na saki jin se ek raat
Firaq Gorakhpuri
ishq par faez hun auron ki tarah lekin mujhe
wasl ka lapka nahin hai hijr se wahshat nahin
Ghulam Husain Sajid