uland hathon mein zanjir Dal dete hain
ajib rasm chali hai dua na mange koi
Iftikhar Arif
dua ko hat uThate hue larazta hun
kabhi dua nahin mangi thi man ke hote hue
Iftikhar Arif
duaen yaad kara di gai thin bachpan mein
so zaKHm khate rahe aur dua diye gae hum
Iftikhar Arif
koi to phul khilae dua ke lahje mein
ajab tarah ki ghuTan hai hawa ke lahje mein
Iftikhar Arif
main zindagi ki dua mangne laga hun bahut
jo ho sake to duaon ko be-asar kar de
Iftikhar Arif
ye bastiyan hain ki maqtal dua kiye jaen
dua ke din hain musalsal dua kiye jaen
Iftikhar Arif
ye moajaza bhi kisi ki dua ka lagta hai
ye shahr ab bhi usi be-wafa ka lagta hai
Iftikhar Arif